nahin ye rasm-e-mohabbat ki ishtibah karo
kiya hai ishq to har haal mein nibah karo
nahin hai ishq to phir zindagi mein kuchh bhi nahin
kisi se ishq karo aur be-panah karo
karunga main teri mahfil ki raunaqen do-chand
meri taraf bhi agar lutf ki nigah karo
suna hai sair-e-chaman ko wo aa rahe hain aaj
junun-e-shauq ko bar-waqt intibah karo
shiar-e-husn ki tauqir ka taqaza hai
mariz-e-ishq se tajdid-e-rasm-o-rah karo
meri tarah na raho aalam-e-taKHayyul mein
meri tarah na bhari zindagi tabah karo
agar maqam hai matlub bazm-e-ulfat mein
gham-e-firaq ki shiddat mein zabt-e-ah karo
jahan mein rasm-e-sitam nang-e-admiyat hai
sitam ke daur ki har chiz ko tabah karo
namaz-e-did ke anjam par mujhe dil ka
ye mashwara hai ki ab tauf-e-jalwa-gah karo
janab-e-shaiKH ko dekha hai main ne KHalwat mein
agar yahi hai sharafat to phir gunah karo
shiar-e-makr-o-riya maulwi se mat sikho
na apne nama-e-amal ko siyah karo
Ghazal
Nahin ye rasm-e-mohabbat ki ishtibah karo
Zahid Chaudhry