nahin ye fikr koi rahbar-e-kaamil nahin milta
koi duniya mein manus-e-mizaj-e-dil nahin milta
kabhi sahil pe rah kar shauq tufanon se Takraen
kabhi tufan mein rah kar fikr hai sahil nahin milta
ye aana koi aana hai ki bas rasman chale aae
ye milna KHak milna hai ki dil se dil nahin milta
shikasta-pa ko muzhda KHastagan-e-rah ko muzhda
ki rahbar ko suragh-e-jada-e-manzil nahin milta
wahan kitnon ko taKHt o taj ka arman hai kya kahiye
jahan sail ko aksar kasa-e-sail nahin milta
ye qatl-e-am aur be-izn qatl-e-am kya kahiye
ye bismil kaise bismil hain jinhen qatil nahin milta
Ghazal
Nahin ye fikr koi rahbar-e-kaamil nahin milta
Asrar-ul-Haq Majaz