nahin uDaunga KHak roya nahin karunga
karunga main ishq par tamasha nahin karunga
meri mohabbat bhi KHas hai kyunki KHas hun main
so aam logon mein zikr is ka nahin karunga
use batao farar ka nam to nahin ishq
jo kah raha hai main kar-e-duniya nahin karunga
kabhi na socha tha guftugu bhi karunga ghanTon
aur apni baaton mein zikr tera nahin karunga
iradatan jo kiya hai ab tak ghalat kiya hai
so ab koi kaam bil-irada nahin karunga
tujhe main apna nahin samajhta isi liye to
zamane tujh se main koi shikwa nahin karunga
meri tawajjoh faqat mere kaam par rahegi
main KHud ko sabit karunga dawa nahin karunga
agar main haara to man lunga shikast apni
teri tarah se koi bahana nahin karunga
agar kisi maslahat mein pichhe haTa hun 'taimur'
to mat samajhna ki ab main hamla nahin karunga
Ghazal
Nahin uDaunga KHak roya nahin karunga
Taimur Hasan