nahin tum mante mera kaha ji
kabhi to hum bhi samjhenge bhala ji
achambha hai mujhe bulbul ki gul bin
qafas mein kis tarah tera laga ji
tumhaare KHat ke aane ki KHabar sun
miyan sahab nipaT mera kuDha ji
zakat-e-husn de main be-nawa hun
yahi hai tum se ab meri sada ji
kisi ke ji ke tain leta hai dushman
mera to le gaya hai aashna ji
thaka main sair kar sare jahan ki
mera ab sab taraf se mar gaya ji
jalaya aa ke phir 'taban' ko tu ne
hamari jaan ab tu bhi sada ji

Ghazal
Nahin tum mante mera kaha ji
Taban Abdul Hai