nahin tha koi sitara tere barabar bhi
hua ghurub tere sath tera manzar bhi
pighalte dekh rahe the zamin pe shoale ko
rawan tha aankh se ashkon ka ek samundar bhi
kahin wo lafz mein zinda kahin wo yaadon mein
wo bujh chuka hai magar hai abhi munawwar bhi
ajab ghulawaTen shahd-o-namak ki nutq mein thi
wahi suKHan ki tha marham bhi aur nashtar bhi
munafiqon ki baDi fauj us se Darti thi
aur us ke pas na tha koi law-lashkar bhi
Ghazal
Nahin tha koi sitara tere barabar bhi
Manzoor Hashmi