اردو हिंदी
Nahin shauq-e-KHaridari mein dauDe ja raha hai | Shaahi Shayari
nahin shauq-e-KHaridari mein dauDe ja raha hai

Ghazal

Nahin shauq-e-KHaridari mein dauDe ja raha hai

Ejaz Gul

;

nahin shauq-e-KHaridari mein dauDe ja raha hai
ye gahak sair-e-bazari mein dauDe ja raha hai

mayassar kuchh nahin hai khel mein la-hasili ke
yunhi be-kar bekari mein dauDe ja raha hai

uThae phir raha hai kotwal-e-umr chabuk
badan majbur lachaari mein dauDe ja raha hai

khaDi hai manfat hairan bahar daere se
ziyan apni ziyan-kari mein dauDe ja raha hai

Thaharna bhi kahan hai sahal in sayyargan ko
na sabit se hi sayyari mein dauDe ja raha hai

utara KHwahishon ka hai izafi bojh sar se
to aasani se dushwari mein dauDe ja raha hai

nahin himmat ki jis mein ho zamane ke muqabil
wo apne ghar ki rahdari mein dauDe ja raha hai

nahin milta magar rauzan ki nikle aks bahar
pas-e-aina-zangari mein dauDe ja raha hai

sameTa jhuT ki parkar ne hai pesh-o-pas ko
ki ab har sach riya-kari mein dauDe ja raha hai

KHabar hai rut badalne ki agar rashk-e-saba wo
KHiram-andaz gulzari mein dauDe ja raha hai