nahin samjhi thi jo samjha rahi hun
ab uljhi hun to khulti ja rahi hun
bahut gahri hai us ki KHamushi bhi
main apne qad ko chhoTa pa rahi hun
umanD aaya hai shor auron ke ghar se
dariche khol ke pachhta rahi hun
hujum itna ki chehre bhul jaun
bisat-e-zat ko phaila rahi hun
ye manzar puchhte hain mujh se aksar
kahan se aai hun kyun ja rahi hun
agar sach hai to phir sabit karo tum
main apne aap ko jhuTla rahi hun
Ghazal
Nahin samjhi thi jo samjha rahi hun
Fatima Hasan