nahin qaul se fel tere mutabiq
kahun kis tarah tujh ko ai yar sadiq
na jannat ke qabil na dozaKH ke laeq
mujhe kyun kiya KHalq ai mere KHaliq
hue hijr mein wo marz mujh ko lahiq
rahe dang jis mein atibba-e-haziq
bharosa karam par hai hum aasiyon ko
ghazab par samajhte hain rahm us ka faiq
faqat kunha zat us ki ab tak na samjhe
hue munkashif aur sare daqaeq
jhagaD lenge aapas mein shaiKH o barhaman
tujhe kya bakheDon se o mard-e-ashiq
jo ye us ki rahmat ki tughyaniyan hain
kuja zohd-e-zahid kahan fisq-e-fasiq
kiya nafs ko mujh pe kyun tu ne ghaalib
na tha kya teri bandagi ke mein laeq
na rakhna mujhe apni rahmat se mahrum
teri zat se hai ye ummid-e-wasiq
na tab aaegi husn ki tere ai dost
main musa nahin hun jo jalwe ka shaiq
tajarrud ka aalam tujhe kya bura tha
hua kis liye pa-e-band-e-alaeq
shikayat ka fiqara zaban tak na aaya
bahar-haal karta raha shukr-e-KHaliq
sar o chashm se main baja laun sahib
jo KHidmat koi howe bande ke laeq
bhala kis se bahlaun dil is chaman mein
na sumbul na nasrin na gul na shaqaiq
rulate ho aashiq ko be-wajh-o-bais
hansnegi meri jaan tum par KHalaiq
kiye moajaze husn ne donon yakja
shab-e-tira gesu jabin subh-e-sadiq
kaha sun ke afsana-e-qai-o-laila
abas karte ho haal mein zikr-e-sabiq
gaya wo zamana wo log uD gae sab
na mashuq waise rahe ab na aashiq
shunidem nam-o-nishanash nadidem
chu anqast madum yar-e-muafiq
meri jaan muddat se marta hun tujh par
tere chand se munh ka aashiq hun aashiq
hua rashk-e-laila ki furqat mein majnun
mera haal aur qais ka hai mutabiq
abas fauq deta hai tu KHud ko nadan
kiya ek ko ek par us ne faiq
wo munshi bane qudrat-e-haq to dekho
jo maktab mein paDhte the insha-e-faiq
dua hai yahi aur yahi hai tamanna
najaf mein mare ja ke ye 'rind'-e-fasiq
Ghazal
Nahin qaul se fel tere mutabiq
Rind Lakhnavi

