nahin nikle zaban se un ke dhoke mein jo han ho kar
guman badle yaqin ho kar yaqin badle guman ho kar
khaTakta hun zamane ki nazar mein nim-jaan ho kar
mohabbat mein hua kanTa zaif-o-na-tawan ho kar
diya dars-e-amal duniya ko sargarm-e-fughan ho kar
jagaya mere nalon ne zamane ko azan ho kar
chhupae se kahin chhupta hai jalwa husn-e-fitrat ka
ayan hai wo nihan ho kar nihan hai wo ayan ho kar
ye hai ejaz-e-ulfat aaj tak aashiq jo zinda hai
wagar na miT chuka hota wo benam-o-nishan ho kar
bhala is tarah ka jina bhi hai jina koi 'shoala'
nigahon mein subuk ho kar zamane par garan ho kar
Ghazal
Nahin nikle zaban se un ke dhoke mein jo han ho kar
Shola Kararvi

