اردو हिंदी
Nahin nigah mein manzil to justuju hi sahi | Shaahi Shayari
nahin nigah mein manzil to justuju hi sahi

Ghazal

Nahin nigah mein manzil to justuju hi sahi

Faiz Ahmad Faiz

;

nahin nigah mein manzil to justuju hi sahi
nahin visal mayassar to aarzu hi sahi

na tan mein KHun faraham na ashk aankhon mein
namaz-e-shauq to wajib hai be-wazu hi sahi

kisi tarah to jame bazm mai-kade walo
nahin jo baada-o-saghar to haw-hu hi sahi

gar intizar kaThin hai to jab talak ai dil
kisi ke wada-e-farda ki guftugu hi sahi

dayar-e-ghair mein mahram agar nahin koi
to 'faiz' zikr-e-watan apne ru-ba-ru hi sahi