nahin mumkin lab-e-ashiq se harf-e-muddaa nikle
jise tum ne kiya KHamosh us se kya sada nikle
qayamat ek bapa hai sina-e-majruh-e-ulfat mein
na tir-e-dil-nashin nikle na jaan-e-mubtela nikle
tumhaare KHugar-e-bedad ko kya lutf ki hajat
wafa aisi na karna tum jo aaKHir ko jafa nikle
guman tha kaam-e-dil aghyar tum se pate hain lekin
hamari tarah wo bhi kushta-e-tegh-e-jafa nikle
zabardasti ghazal kahne pe tum aamada ho 'wahshat'
tabiat jab na ho hazir to phir mazmun kya nikle
Ghazal
Nahin mumkin lab-e-ashiq se harf-e-muddaa nikle
Wahshat Raza Ali Kalkatvi