اردو हिंदी
Nahin misal koi aisa be-misal badan | Shaahi Shayari
nahin misal koi aisa be-misal badan

Ghazal

Nahin misal koi aisa be-misal badan

Meraj Naqvi

;

nahin misal koi aisa be-misal badan
hai KHud jawab wo apna hai KHud sawal badan

mahaz-e-jang-e-wafa pe shikast-e-ishq ke baad
paDa hai dasht mein ab tak wo paemal badan

tilism-e-kun-fayakun kis ne paDh ke phunk diya
zara si KHak hui kaisa ba-kamal badan

tere badan ki masafat ko tai kiya to magar
paDa hua hai abhi tak mera niDhaal badan

shuur-o-fikr pe ghaalib hai jism ka mausam
har ek KHwab badan hai har ek KHayal badan