nahin milte wo ab to kya baat hai
yahan KHud se bhi kab mulaqat he
tere dhyan ke sab ujale gae
bas ab hum hain aur dukh bhari raat hai
hamari taraf bhi kabhi ek nigah
hamein bhi bahut nashsha-e-zat hai
sulagta hua din jo kaT bhi gaya
to phir aanch deti hui raat hai
shikayat kisi se to kiya thi magar
gila ek rasm-e-KHarabaat hai
naya dukh to milta hai kis ko yahan
magar gham ki har shab nai raat hai
har ek sham taza umid-e-visal
har ek roz roz-e-mukafat hai
Ghazal
Nahin milte wo ab to kya baat hai
Ahmad Hamdani