nahin milta dila hum ko nishan tak
makan DhunD aae us ka la-makan tak
bana har mu-e-tan KHar-e-mughilan
sataya josh-e-wahshat ne yahan tak
hamari jaan ke pichhe paDa hai
dil-e-nadan ko samjhaen kahan tak
rawan shab ko hua kya naqa-e-ruh
nazar aai na gard-e-karwan tak
zamin pe zalzala aaya to pahuncha
mere nalon ka ghaugha aasman tak
mile hai dil ko zauq-e-bosa-e-lab
maza hai warna har shai ka zaban tak
jo rakhte the dimagh apna falak par
zamin par ab nahin un ka nishan tak
jalaya shama sa us shola-ru ne
gae ghul soz-e-gham se ustuKHan tak
jahan ki sair ki 'sayyah' hum ne
na pahunche par suKHan ke qadr-dan tak
Ghazal
Nahin milta dila hum ko nishan tak
Miyan dad Khan Sayyah