اردو हिंदी
Nahin manzur tap-e-hijr ka ruswa hona | Shaahi Shayari
nahin manzur tap-e-hijr ka ruswa hona

Ghazal

Nahin manzur tap-e-hijr ka ruswa hona

Fani Badayuni

;

nahin manzur tap-e-hijr ka ruswa hona
tere bimar ka achchha nahin achchha hona

naseha wusat-e-kashana junun-KHez nahin
warna kya farz hai aawara-e-sahra hona

bas ab ai zabt ziyaada mujhe mahjub na kar
hai meri aankh ki taqdir mein dariya hona

kis se khulte hain teri zulf-e-girah-gir ke bal
koi aasan hai ye uqda-e-dil wa hona

nigah-e-naz ko aasan dam-e-KHanjar banna
lab-e-jaan-baKHsh ko dushwar masiha hona

hae baaton mein teri laghzish-e-mastana-e-naz
hae aankhon mein teri nashsha-e-sahba hona

hama-tan dagh-e-gham-e-ishq-e-butan hun 'fani'
dil se bhata hai mujhe naqsh-e-suwaida hona