nahin main hausla to kar raha tha
zara tere sukun se Dar raha tha
achanak jhenp kar hansne laga main
bahut rone ki koshish kar raha tha
bhanwar mein phir hamein kuchh mashghale the
wo bechaara to sahil par raha tha
larazte kanpte hathon se buDha
chilam mein phir koi dukh bhar raha tha
achanak lau uThi aur jal gaya main
bujhi kirnon ko yakja kar raha tha
gila kya tha agar sab sath hote
wo bas tanha safar se Dar raha tha
ghalat tha rokna ashkon ko yun bhi
ki buniyaadon mein pani mar raha tha
Ghazal
Nahin main hausla to kar raha tha
Shariq Kaifi