اردو हिंदी
Nahin malum kya wajib hai kya farz | Shaahi Shayari
nahin malum kya wajib hai kya farz

Ghazal

Nahin malum kya wajib hai kya farz

Ismail Merathi

;

nahin malum kya wajib hai kya farz
mere mazhab mein hai teri raza farz

shuur-e-hasti-e-mauhum hai kufr
fana baad-e-fana baad-e-fana farz

nahin aagah mast-e-baada-e-shauq
kahan sunnat kidhar wajib kuja farz

reh-e-taslim mein az-ru-e-fatwa
dua wajib pa tark-e-muddaa farz

na chhuTe kufr mein bhi waz-e-iman
ki har haalat mein hai yaad-e-KHuda farz

nahin dekha kisi ne husn-e-mastur
ba-qadr-e-fahm lekin kar liya farz

na manunga na manunga kabhi main
mujhe karte hain kyun us se juda farz

na kholunga na kholunga zaban ko
ki hai iKHfa-e-raaz-e-dilruba farz

bala se koi mane ya na mane
chalo hum kar chuke apna ada farz