nahin malum jine ka hunar kaisa rakha hai
hamein haalat ne jaise rakha zinda rakha hai
meri pagal tabiat ka hai koi pair na sar
nahin dariya mila to aankh mein sahra rakha hai
tumhein jis samt se aana hua be-KHauf aana
tumhaare waste chaaron taraf rasta rakha hai
mere jaisi udasi shahr mein kis ko mili hai
mera jaisa kisi ne kab bujha chehra rakha hai
wo jitne bhes badle main use pahchan lungi
ki main ne aankh mein us shaKHs ka naqsha rakha hai
tumhaare wasl ki iftari aae ya na aae
magar main ne tumhaare hijr ka roza rakha hai
kisi ke hijr mein bhuli hun baqi rang sare
meri almari mein har suiT ab kala rakha hai

Ghazal
Nahin malum jine ka hunar kaisa rakha hai
Sadiya Safdar Saadi