اردو हिंदी
Nahin kuchh aur to mumkin thi KHud-kushi phir bhi | Shaahi Shayari
nahin kuchh aur to mumkin thi KHud-kushi phir bhi

Ghazal

Nahin kuchh aur to mumkin thi KHud-kushi phir bhi

Muqeem Ehsan Kaleem

;

nahin kuchh aur to mumkin thi KHud-kushi phir bhi
hai koi baat ki jita hai aadmi phir bhi

ye tirgi to bas ek gardish-e-zamin tak hai
magar ye raat jo hum se na kaT saki phir bhi

chaman luTa hai KHud ahl-e-chaman ki sazish se
kali kali hai magar mahw-e-KHwab si phir bhi

kisi ko pa ke bhi akasr guman ye hota hai
ki jaise rah gai baqi koi kami phir bhi

hamin pe yurish-e-zulmat hamin hain kushta-e-shab
hamin hain pesh-raw-e-subh-o-raushni phir bhi