اردو हिंदी
Nahin koi KHabar karna nahin hai | Shaahi Shayari
nahin koi KHabar karna nahin hai

Ghazal

Nahin koi KHabar karna nahin hai

Adil Hayat

;

nahin koi KHabar karna nahin hai
hamein kuchh bhi asar karna nahin hai

bahut hi KHubsurat zindagi hai
magar aasan basar karna nahin hai

hawa ko rasta gar mil bhi jae
charaghon par asar karna nahin hai

gharaunde hi mein apne lauT jaun
ki KHud ko dar-ba-dar karna nahin hai

hazaron raste to muntazir hain
taKHayyul mein safar karna nahin hai

lubhate hain nae paude hamein bhi
magar sab ko shajar karna nahin hai

hain ab bhi ishq ki baaten gawara
lahu dil ko magar karna nahin hai

agar hai zindagi se pyar 'adil'
muhim koi bhi sar karna nahin hai