na koi dost apna yar apna mehrban apna
sunaun kis ko gham apna alam apna fughan apna
na taqat hai ishaare ki na kahne ki na sunne ki
kahun kya main sunun kya main bataun kya bayan apna
nipaT rakhta hai ji mera KHafa hun nak mein dam hai
na ghar bhata hai ne sahra kahan kije makan apna
hua hun gum main lashkar mein pari-ruyan ke hai zalim
kahan DhunDun kise puchhun nahin pata nishan apna
bahut chaha ki aawe yar ya is dil ko sabr aawe
na yar aaya na sabr aaya diya main ji nidan apna
qafas mein band hain ye andaliben saKHt bebas hain
na gulshan dekh sakti hain na ab we aashiyan apna
mujhe aata hai rona aisi tanhai pe ai 'taban'
na yar apna na dil apna na tan apna na jaan apna
Ghazal
Nahin koi dost apna yar apna mehrban apna
Taban Abdul Hai