nahin kisi ki tawajjoh KHud-agahi ki taraf
koi kisi ki taraf hai koi kisi ki taraf
tumhaara jalwa-e-masum dekh le ek bar
KHayal jis ka na jata ho bandagi ki taraf
mizaj-e-shaiKH-o-barhaman ki barhami malum
ki ab hayat ka ruKH hai KHud-agahi ki taraf
nazar wo log ujale mein KHud na aae kabhi
bula rahe hain jo duniya ko raushni ki taraf
jata rahe hain hamin ko na dekhna apna
wo dekh dekh ke mahfil mein har kisi ki taraf
hazar bar irada kiye baghair bhi hum
chale hain uTh ke to aksar gae usi ki taraf
buton ne munh na lagaya 'adib' ko shayad
jhuke hue hain jabhi to ye shaiKH-ji ki taraf
Ghazal
Nahin kisi ki tawajjoh KHud-agahi ki taraf
Adeeb Saharanpuri