nahin ki tere ishaare nahin samajhta hun 
samajh to leta hun sare nahin samajhta hun 
tera chaDha hua dariya samajh mein aata hai 
tere KHamosh kinare nahin samajhta hun 
kidhar se nikla hai ye chand kuchh nahin malum 
kahan ke hain ye sitare nahin samajhta hun 
kahin kahin mujhe apni KHabar nahin milti 
kahin kahin tere bare nahin samajhta hun 
jo daen baen bhi hain aur aage pichhe bhi 
unhen main ab bhi tumhaare nahin samajhta hun 
KHud apne dil se yahi iKHtilaf hai mera 
ki main ghamon ko ghubare nahin samajhta hun 
kabhi to hota hai meri samajh se bahar hi 
kabhi main sharm ke mare nahin samajhta hun 
kahin to hain jo mere KHwab dekhte hain 'zafar' 
koi to hain jinhen pyare nahin samajhta hun
        Ghazal
Nahin ki tere ishaare nahin samajhta hun
Zafar Iqbal

