اردو हिंदी
Nahin ki mujhko qayamat ka etiqad nahin | Shaahi Shayari
nahin ki mujhko qayamat ka etiqad nahin

Ghazal

Nahin ki mujhko qayamat ka etiqad nahin

Mirza Ghalib

;

nahin ki mujh ko qayamat ka e'tiqad nahin
shab-e-firaq se roz-e-jaza ziyaad nahin

koi kahe ki shab-e-mah mein kya burai hai
bala se aaj agar din ko abr o baad nahin

jo aaun samne un ke to marhaba na kahen
jo jaun wan se kahin ko to KHair-baad nahin

kabhi jo yaad bhi aata hun main to kahte hain
ki aaj bazm mein kuchh fitna-o-fasad nahin

alawa id ke milti hai aur din bhi sharab
gada-e-kucha-e-mai-KHana na-murad nahin

jahan mein ho gham-e-shadi baham hamein kya kaam
diya hai hum ko KHuda ne wo dil ki shad nahin

tum un ke wade ka zikr un se kyun karo 'ghaalib'
ye kya ki tum kaho aur wo kahen ki yaad nahin