nahin ki ishq nahin hai gul o saman se mujhe
dil-e-fasurda liye jata hai chaman se mujhe
misal-e-shama hai rona bhi aur jalna bhi
yahi to faeda hai teri anjuman se mujhe
baDhi hai yas se kuchh aisi wahshat-e-KHatir
nikal kar hi rahegi ye ab watan se mujhe
aziz agar nahin rakhta na rakh zalil hi rakh
magar nikal na tu apni anjuman se mujhe
watan samajhne laga hun main dasht-e-ghurbat ko
zamana ho gaya nikle hue watan se mujhe
mere bhi dagh-e-jigar misl-e-lala hain rangin
hai chashmak us gul-e-KHubi ke bankpan se mujhe
chhupa na gosha-nashini se raaz-e-dil 'wahshat'
ki jaanta hai zamana mere suKHan se mujhe
Ghazal
Nahin ki ishq nahin hai gul o saman se mujhe
Wahshat Raza Ali Kalkatvi