اردو हिंदी
Nahin ki dil mein hamesha KHushi bahut aai | Shaahi Shayari
nahin ki dil mein hamesha KHushi bahut aai

Ghazal

Nahin ki dil mein hamesha KHushi bahut aai

Zafar Iqbal

;

nahin ki dil mein hamesha KHushi bahut aai
kabhi taraste rahe aur kabhi bahut aai

mere falak se wo tufan nahin uTha phir se
meri zamin mein wo tharthari bahut aai

jidhar se khol ke baiThe the dar andhere ka
usi taraf se hamein raushni bahut aai

wahan maqam to rone ka tha magar ai dost
tere firaq mein hum ko hansi bahut aai

rawan rahe safar-e-marg par yunhi warna
hamari rah mein ye zindagi bahut aai

yahan kuchh apni hawaon mein bhi uDe hain bahut
hamare KHwab mein kuchh wo pari bahut aai

na tha ziyaada kuchh ehsas jis ke hone ka
chala gaya hai to us ki kami bahut aai

na jaane kyun meri niyyat badal gai yak-dam
wagarna us pe tabiat meri bahut aai

'zafar' shuur to aaya nahin zara bhi hamein
bajae is ke magar shairi bahut aai