nahin ki apna zamana bhi to nahin aaya
hamein kisi se nibhana bhi to nahin aaya
jala ke rakh liya hathon ke sath daman tak
tumhein charagh bujhana bhi to nahin aaya
nae makan banae to faslon ki tarah
hamein ye shahr basana bhi to nahin aaya
wo puchhta tha meri aankh bhigne ka sabab
mujhe bahana banana bhi to nahin aaya
'wasim' dekhna muD muD ke wo usi ki taraf
kisi ko chhoD ke jaana bhi to nahin aaya
Ghazal
Nahin ki apna zamana bhi to nahin aaya
Waseem Barelvi