nahin KHayal to phir intizar kis ka hai
ye zehn-o-dil ye bila-wajh bar kis ka hai
batae kaun ye ahl-e-KHirad se mahfil mein
chaman hai kis ke liye KHar-zar kis ka hai
hamara nam to ghairon mein ho gaya shamil
jo log apne hain un mein shumar kis ka hai
kisi ko daulat-e-duniya kisi ko izzat-e-nafs
KHuda ki den pe ab iKHtiyar kis ka hai
urus-e-maut se jaldi hai kis ko milne ki
qadam baDha hua ye su-e-dar kis ka hai
farishte aa ke 'wasiyya' se bole marqad mein
lahad mein aap ko ab intizar kis ka hai
Ghazal
Nahin KHayal to phir intizar kis ka hai
Fatima wasia Jayasi