nahin karti asar fariyaad meri
koi kis tarah dewe dad meri
fughan-e-jaan-gusil rakhta hun lekin
nahin sunta mera sayyaad meri
tu ai paigham-bar jhuTi hi kuchh kah
ki KHush ho KHatir-e-nashad meri
main tujh ko yaad karta hun ilahi
tere bhi dil mein hogi yaad meri
nahin hota muqayyad main kisi ka
tabiat hai bahut aazad meri
udhar ai 'mushafi' kya dekhta hai
ghazal sun aa mere ustad meri
Ghazal
Nahin karti asar fariyaad meri
Mushafi Ghulam Hamdani