nahin kam afw-e-yazdani bahut hai
gunahon par pashemani bahut hai
koi to hadisa guzra hai dil par
shab-e-gham aaj nurani bahut hai
dilon par tah-ba-tah zulmat ke parde
jabin par nur-e-imani bahut hai
idhar hi tishna-e-didar kam hain
udhar to jalwa-samani bahut hai
kise ras aae sauda-e-mohabbat
munafea kam pareshani bahut hai
zaban hai rahn-e-zikr-e-hur-o-ghilman
KHayal-e-pak-damani bahut hai
karo 'mahmud' qismat par qanaat
jo mil jae ba-asani bahut hai
Ghazal
Nahin kam afw-e-yazdani bahut hai
Mahmood rae Barelvi