اردو हिंदी
Nahin kahte kisi se haal-e-dil KHamosh rahte hain | Shaahi Shayari
nahin kahte kisi se haal-e-dil KHamosh rahte hain

Ghazal

Nahin kahte kisi se haal-e-dil KHamosh rahte hain

Davarka Das Shola

;

nahin kahte kisi se haal-e-dil KHamosh rahte hain
ki apni dastan mein tere afsane bhi aate hain

wo jin par faKHr hai farzangi ko nukta-dani ko
teri mahfil mein aise chand diwane bhi aate hain

adab karta hun masjid ka wahan har rose jata hun
ki us ki rah mein do-chaar maiKHane bhi aate hain

hamare mai-kade mein mai bhi hai iman ki baaten bhi
yahin to ek sahab waz farmane bhi aate hain

na ghabra chahne walon se ye to ain-e-fitrat hai
ki shama nur-afshan ho to parwane bhi aate hain