nahin jo teri KHushi lab pe kyun hansi aae
yahi bahut hai ki aankhon mein kuchh nami aae
andheri raat mein kasa-ba-dast baiTha hun
nahin ye aas ki aankhon mein raushni aae
mile wo hum se magar jaise ghair milte hain
wo aae dil mein magar jaise ajnabi aae
KHud apne haal pe roti rahi hai ye duniya
hamare haal pe duniya ko kyun hansi aae
na jaane kitne zamanon se hum bahakte hain
faqih bahke to kuchh lutf-e-mai-kashi aae
salib-o-dar ke qisse bahut purane hain
salib-o-dar to hamrah-e-zindagi aae
hari na ho na sahi shaKH-e-naKHl gham ki 'arib'
hamare girya-e-paiham mein kyun kami aae
Ghazal
Nahin jo teri KHushi lab pe kyun hansi aae
Sulaiman Areeb