اردو हिंदी
Nahin jati agar ye aasman tak | Shaahi Shayari
nahin jati agar ye aasman tak

Ghazal

Nahin jati agar ye aasman tak

Ishaq Veerdag

;

nahin jati agar ye aasman tak
to phir is chiKH ki had hai kahan tak

chalo pani se wo shoala nikalen
uThae jo zamin ko aasman tak

ab agle moD par patal hoga
yaqin se aa gaya hun main guman tak

zamane ko samajh paya nahin hun
main samjhata rahun KHud ko kahan tak

ajab ek khel khela ja raha hai
na tha jis ka hamein koi guman tak

bahut hi KHubsurat rasta hai
jo sidha ja raha hai raegan tak

zamin ke bab mein kuchh mashware hain
zara main ja raha hun aasman tak