nahin is dasht mein koi KHizar hai
ki bas main hun meri gard-e-safar hai
haqiqat aaKHiri ye muKHtasar hai
kahin sunsan sa tarik ghar hai
na sang-e-rah hai na rahbar hai
bhaTakta dil hai aur dhundli nazar hai
jo manzil hi se ho ghafil musafir
bhala kya lutf jo raushan nazar hai
na aalam hum se KHush na KHud se hum KHush
ye bina aankh bhi kya dard-e-sar hai
ye zine jaldi jaldi chaDhne wale
pas-e-az-baam kya hai kuchh KHabar hai
Ghazal
Nahin is dasht mein koi KHizar hai
sulaiman ahmad mani