nahin ho tum to aisa lag raha hai
ki jaise shahr mein curfew laga hai
mere sae mein us ka naqsh-e-pa hai
baDa ehsan mujh par dhup ka hai
koi barbaad ho kar ja chuka hai
koi barbaad hona chahta hai
lahu aankhon mein aa kar chhup gaya hai
na jaane shahr-e-dil mein kya hua hai
kaTi hai umr bas ye sochne mein
mere bare mein wo kya sochta hai
barae nam hain un se marasim
barae nam jina paD raha hai
sitare jagmagate ja rahe hain
KHuda apna qasida likh raha hai
gulon ki baaten chhup kar sun raha hun
tumhaara zikr achchha lag raha hai
Ghazal
Nahin ho tum to aisa lag raha hai
Fahmi Badayuni