اردو हिंदी
Nahin hai yaad ki wo yaad kab nahin aaya | Shaahi Shayari
nahin hai yaad ki wo yaad kab nahin aaya

Ghazal

Nahin hai yaad ki wo yaad kab nahin aaya

Saim Ji

;

nahin hai yaad ki wo yaad kab nahin aaya
use bhula ke main ji lun ye Dhab nahin aaya

ye sab ghalat hai ki sunta nahin kisi ki wo
ye sach nahin ki pukara to rab nahin aaya

wo yun to aata hai jata hai meri sanson mein
bulaya waise use jab wo tab nahin aaya

kisi ko rizq na pahuncha ho sham se pahle
abhi zamin pe aisa ghazab nahin aaya

main be-lihaz hun shayad tabhi akela hun
mere mizaj mein ab tak adab nahin aaya

bhula chuka hun main 'saim' hazar baaton ko
raha hai yaad bas itna wo jab nahin aaya