اردو हिंदी
Nahin hai mujhko ai jamshed tere jam se kaam | Shaahi Shayari
nahin hai mujhko ai jamshed tere jam se kaam

Ghazal

Nahin hai mujhko ai jamshed tere jam se kaam

Miskeen Shah

;

nahin hai mujh ko ai jamshed tere jam se kaam
jahan-numa hai mujhe apne KHush-KHiram se kaam

sabhi to din wa duniya ka kaam karte hain
mujhe na din na duniya ke intizam se kaam

haram mein shaiKH hain aur dair mein barahman hain
hamein nahin hai unhon ke koi kalam se kaam

kunisht-e-dil mein hai ek josh but-parasti ka
mujhe buton ki hai KHidmat mein ram ram se kaam

gharaz na kufr se kuchh hai na din se matlab
na hai halal se na hai hamein haram se kaam

sanam ke ru-ba-ru rahna mujhe ghanimat hai
na sharm nang se kuchh hai mujhe na nam se kaam

KHafa bhi ho ke jo dekhe to sar nisar karun
agar na dekhe to phir bhi hai ek salam se kaam

suna suna ke jo karta hai waz-e-husn bayan
paDa hai tujh ko hamesha ye fahm-e-KHam se kaam

tu apne bakne se 'miskin' na hum se dur hua
tujhe to bakne se mujh ko hai apne kaam se kaam