nahin hai ashk se ye KHun-e-nab aankhon mein
bhara hai rang se tere shahab aankhon mein
kahan nikal sake aansu nazar ko jae nahin
rakha hun shakl ko teri main dab aankhon mein
uluhi kis ki tajalli se ho gaya hun do-chaar
jhamak raha hai sada mahtab aankhon mein
hue hain jab se wo kaif-e-nigah ke aaina-dar
bajae ashk bhari hai sharab aankhon mein
amal se apni zaban kis tarah na ho be-kar
jahan ho rasm sawal-o-jawab aankhon mein
hua hun jab se main itlaq us ke se aagah
jahan main dekhun hai wan bu-turab aankhon mein
Ghazal
Nahin hai ashk se ye KHun-e-nab aankhon mein
Baqar Agah Vellori