nahin hai are ye baghawat nahin hai
hamein sar jhukane ki aadat nahin hai
chhupae hue hain wahi log KHanjar
jo kahte kisi se adawat nahin hai
karun kya paron ka agar in se mujh ko
falak napne ki ijazat nahin hai
uTha kar girana gira kar miTana
hamare yahan ki riwayat nahin hai
mila kar nigahen jhukate jo gardan
wahi kah rahe hain mohabbat nahin hai
bahut kar li pahle zamane se hum ne
hamein ab kisi se shikayat nahin hai
kaho kya karoge ghaTaon ka 'niraj'
agar bhig jaane ki chahat nahin hai
Ghazal
Nahin hai are ye baghawat nahin hai
Neeraj Goswami