nahin hai amn ka duniya mein ab maqam koi
KHuda KHuda kahe koi ki ram ram koi
mere banae to banta nahin hai kaam koi
wo karsaz kare us ka intizam koi
na hoga bazm ka baaton se intizam koi
KHud apni baat pe tujh ko nahin qayam koi
tumhaare ho ke jo hum zillaten uThate hain
zalil hoga kisi ka na yun ghulam koi
uThao tegh saza do raqib-e-mufsid ko
nasihaton se hua hai kab intizam koi
chhuri se rahm kare pahle kis par ab sayyaad
koi qafas mein taDapta hai zer-e-dam koi
ye mujh se aankh milata nahin hai kyun saqi
mere nasib ka shayad nahin hai jam koi
jo nam lete hain tera wo qatl hote hain
nahin marega jo lega na tera nam koi
kuchh aur kijiye tadbir kaam ki 'raghib'
ki hae hae se banta nahin hai kaam koi
Ghazal
Nahin hai amn ka duniya mein ab maqam koi
Raghib Badayuni