nahin hai aashiyan lekin hai KHak-e-ashiyan baqi
zamane mein mohabbat ka abhi tak hai nishan baqi
baDi hasrat se mera tazkira karte hain wo aksar
hai mere baad bhi sad-shukr meri dastan baqi
zamana aisa kuchh badla hai hum tira-nasibon ka
na jada hai na manzil aur na manzil ka nishan baqi
chaman walon ka ehsas-e-ghulami jag uTTha hai
nahin rah sakti ab to ye jafa-e-baghban baqi
nuqush-e-sajda ko mere hiqarat se na dekho tum
inhin sajdon ki tabish se hai husn-e-dastan baqi
suluk aisa kiya ai baghban teri nigahon ne
gulistan mein nahin hai ab bahaar-e-gulsitan baqi
muKHalif baghban ho ya falak bezar ho hum se
rahega hashr tak apna chaman mein aashiyan baqi
gaya wo waqt jab milte the aapas mein mohabbat se
dilon mein ab se ai 'sajid' KHulus-e-dil kahan baqi
Ghazal
Nahin hai aashiyan lekin hai KHak-e-ashiyan baqi
Sajid Siddiqi lakhnavi