اردو हिंदी
Nahin ghar mein falak ke dil-kushai | Shaahi Shayari
nahin ghar mein falak ke dil-kushai

Ghazal

Nahin ghar mein falak ke dil-kushai

Abroo Shah Mubarak

;

nahin ghar mein falak ke dil-kushai
kahan hoti hai yahan meri samai

kare jo bandagi so ho gunahgar
nyari hai yahan ki kuchh KHudai

zabah karne kun nahaq be-kason ke
bata teri kamar ye kin kasai

tum apni baat ke raja ho pyare
kahin sin zid tumhein ho hai siwai

chaman kun jit aae naz bu jab
tumhaare sabza-e-KHat nin harai

sapidi qand ki phiki lagi jab
tumhaare rang ki dekhi girai

baha KHun-e-jigar ankhiyon sen pal pal
sajan bin raat hum kun yun bahai

nahin Tikne ka panw 'abru' ka
gali ki rah us ke hat aai