اردو हिंदी
Nahin duniya mein siwa Khaar-o-KHas-e-kucha-e-dost | Shaahi Shayari
nahin duniya mein siwa Khaar-o-KHas-e-kucha-e-dost

Ghazal

Nahin duniya mein siwa Khaar-o-KHas-e-kucha-e-dost

Waliullah Muhib

;

nahin duniya mein siwa KHar-o-KHas-e-kucha-e-dost
sar-e-shorida ki KHwahish ba-kulahe gahe

KHun-e-ushshaq ka dawa mere qatil tujh par
hote isbaat na dekha ba-gawahe gahe

hai bahaar aane ki kuchh dhum ki aage to na tha
dil-e-diwana ba-in haal-e-tabahe gahe

rahte kis shohre mein ho tum se to milna pyare
ittifaqiya hai baad az do sah mahe gahe

hum tamazat mein tere hukm se len hain saqi
saya-e-tak mein yak-lahza panahe gahe

hum gadaon ko hai taslim-o-raza se sarokar
multaji hain na ze-munim ne ze-shahe gahe

be-zaban kulah-e-sabzi ki jagah ai nau-KHat
na uga KHak se meri par-e-kahe gahe

ai 'muhib' jurm-e-mohabbat ke siwa aalam mein
qatl-e-ashiq hi suna hai ba-gunahe gahe