nahin do qubba-e-pistan shoKH-o-shang sine par
nazar aate hain mina-e-mai-e-gul-rang sine par
nahin rakhe hain tu ne har tarah ke phul angiya mein
jawahar ye nazar aate hain ranga-rang sine par
nahin lauh-e-mazar-e-raftgan-e-shahr-e-KHamoshan
gham-e-furqat ka rakh kar so rahe hain sang sine par
numud jism ka us sim-tan ko hai KHayal itna
ki KHush rahta hai KHayyaton se kapDe tang sine par
KHuda ke fazl se shauq-e-lughat hai 'mehr' ko itna
dhare rahte hain pahron nusKHa-e-farsang sine par
Ghazal
Nahin do qubba-e-pistan shoKH-o-shang sine par
Syed Agha Ali Mehr