اردو हिंदी
Nahin dekhta din jise chashm-e-shab dekhti hai | Shaahi Shayari
nahin dekhta din jise chashm-e-shab dekhti hai

Ghazal

Nahin dekhta din jise chashm-e-shab dekhti hai

Farhat Ehsas

;

nahin dekhta din jise chashm-e-shab dekhti hai
andhera bhi ek dusre rang ki raushni hai

purane andheron ko aankhon mein mahfuz rakhna
nai raushni kuchh yaqini nahin raushni hai

chali jae bazar mein raushni jab achanak
chamakne lage jo bas ek dam wahi aadmi hai

chimaT jae jo jism se maut se lamha pahle
jise rokna ghair-mumkin ho wo zindagi hai

usi ki badaulat to ghar apna ghar lag raha hai
jo chizon ki bhar-mar mein ek zara si kami hai

phaTe-haal aisa yahan koi aur ab kahan hai
zara ghaur se dekhna farhat-ehsas hi hai