اردو हिंदी
Nahin aasan tark-e-ishq karna dil se gham jaana | Shaahi Shayari
nahin aasan tark-e-ishq karna dil se gham jaana

Ghazal

Nahin aasan tark-e-ishq karna dil se gham jaana

Akhtar Ansari Akbarabadi

;

nahin aasan tark-e-ishq karna dil se gham jaana
bahut dushwar hai chaDhte hue tufan ka tham jaana

KHabar kya thi sitam ki parda-dari yun bhi hoti hai
bahut nadim hun jab se maqsad-e-josh-e-karam jaana

lihaz-e-waza-dari mein kabhi mumkin na ho shayad
tumhaara do qadam aana hamara do qadam jaana

hamein andaz-e-rindana kabhi girne nahin dete
jo saghar samne aaya usi ko jam-e-jam jaana

mera har sher 'aKHtar' ek payam-e-zindagi nikla
mujhe duniya ne aaKHir malik-e-lauh-e-qalam jaana