nagri nagri phira musafir ghar ka rasta bhul gaya
kya hai tera kya hai mera apna paraya bhul gaya
kya bhula kaise bhula kyun puchhte ho bas yun samjho
karan dosh nahin hai koi bhula bhaala bhul gaya
kaise din the kaisi raaten kaisi baaten ghaten thin
man baalak hai pahle pyar ka sundar sapna bhul gaya
andhiyare se ek kiran ne jhank ke dekha sharmai
dhundli chhab to yaad rahi kaisa tha chehra bhul gaya
yaad ke pher mein aa kar dil par aisi kari choT lagi
dukh mein sukh hai sukh mein dukh hai bhed ye nyara bhul gaya
ek nazar ki ek hi pal ki baat hai Dori sanson ki
ek nazar ka nur miTa jab ek pal bita bhul gaya
sujh-bujh ki baat nahin hai man-mauji hai mastana
lahr lahr se ja sar paTka sagar gahra bhul gaya
Ghazal
Nagri nagri phira musafir ghar ka rasta bhul gaya
Meeraji