naghme ko lai sadaf ko guhar ki talash hai
KHushbu hun mujh ko phul se ghar ki talash hai
jo fikr ko yaqin ki daulat ata kare
hum ko to aise dast-e-hunar ki talash hai
jam-o-subu se hai na hai saqi se kuchh gharaz
gulchin hai us ko bas gul-e-tar ki talash hai
hum hain azal se gard-e-rah-e-karwan hamein
diwar ki talash na dar ki talash hai
aabaad ek nagar hai hamare wajud mein
'manzar' hamein bhi ahl-e-nazar ki talash hai

Ghazal
Naghme ko lai sadaf ko guhar ki talash hai
Jawed Manzar