naghmagi se sukut behtar tha
main tha aur ek kirae ka ghar tha
koi mujh sa na dusra aaya
yun to har shaKHs mujh se behtar tha
har-taraf qaht-e-ab tha lekin
ek tufan mere andar tha
main bana tha KHalifa-e-dauran
yun ki kanTon ka taj sar par tha
main musalsal wahan chala ki jahan
do-qadam ka safar bhi dubhar tha
ghir gaya tha main ek jazire mein
aur chaaron taraf samundar tha
ek ek mauj mujh se Takrai
jurm ye tha ki main shanawar tha
wahshaton mein bala ka tha phailaw
dasht aur ghar ka ek manzar tha
ek diwar darmiyan rahi
warna donon ka ek hi ghar tha
Ghazal
Naghmagi se sukut behtar tha
Shareef Munawwar