naghma-zan hai nazar-e-be-awaz
kyun mere dil asar-e-be-awaz
mere dil se unhen apne dil ki
mil rahi hai KHabar-e-be-awaz
lakh kirnon ki zaban rakhta hai
ek nur-e-sahar-e-be-awaz
hui barbaad pas-e-be-hunran
sai-e-arz-e-hunar-e-be-awaz
pae hangama-e-hasti-e-bashar
maut hai chaaragar-e-be-awaz
hai wo be-panw guzarne ki dalil
irtiqa ka safar-e-be-awaz
rang laya hai sada ban ke 'saba'
mera KHun-e-jigar-e-be-awaz
Ghazal
Naghma-zan hai nazar-e-be-awaz
Saba Naqvi